Thursday, January 8, 2009

TALASH....

रहने दे आसमा जमी की तलाश कर.
सब कुछ यही , ना और किसी की तलाश कर.

हर आरजू पुरी हो जाने का क्या है मजा. ?
जीने के लिए बस एक कमी की तलाश कर.


2

Itne dosto mai bhi ek dost ki talash hai mujhe,
Itne apno mai bhi ek apne ki talash hai mujhe,

Chhod aata hai har koi samundar ke bich mujhe,
Ab dhub raha hu to sahil ki talash hai mujhe,

Ladna chahta hu in andhero ki gamo se,
Bas ek sama ke ujale ki talash hai mujhe,

Tang aa chukka hu mai is bewakt ki moat se,
Abe k hasin jindgi ki talash hai mujhe,

Deewana hu mai sab yahi kah kar satate hai mujhe,
Jo mujhe samjh sake us shaks ki talash hai mujhe.




No comments:

Post a Comment